Jab koi aisa mil jaaye jo humein sun sake aur samajh sake, to ek sukoon sa mehsoos hota hai. Lekin kisi ke door chale jaane ke baad jo khamoshi ka manzar banta hai, use hum aksar bayaan nahin kar paate. Wahi ankahe jazbaat jab syahi bankar kagaz par utarte hain, to shayad isi liye aaj is 'Aawaz' ka janm hua hai. Aawaz mahaz ek kitaab nahin hai, yeh un alfaaz aur lafaz ki dastaan hai jo sirf shabd nahin, balki ehsaas aur ankahi kahaniyaan samete hue hain. Ismein aapko pyaar, dard, bewafai, yaadein, mere Kanha ji aur kahin naa kahin ek nabz bhi milegi. Mujhe aasha hai ki yeh kitaab padhkar aapko apne khayalon ko udaan dene ka mauka milega aur apni aawaz ko khulkar bayaan karne ki himmat bhi. To chalte hain "Aawaz: Ek Sukoon, Khamoshi aur Jazbaat" ke is khoobsurat safar par, mujhe yakeen hai aap is safar ko behad pasand karenge.